Amarkantak ki prakratik sundarta.............
Amarkantak ke bare me kam hi log jante honge,yeh
ek pavitra jagah h jo anuppur jile me sthit h,kaha jata h Amarkantak sone nadi
ka udgam sthan h, sone nadi ko johila nadi bhi kehte h, yeh hinduo ka pavitra
sthal h, iske charo taraf faili sundarta man bhavan lagti h, yha ke khoobsurat
jharne, pavitra talab, unchi pahadiya aur sant vatavaran logo ko mantra mugdh
kr deta h, Amarkantak dharmik bhavnao ka ghar h yha log ana kafi pasand karte
h, yeh jagah kafi uchai pr h is karan ye sal me adhiktar samay tk thandi hoti h
jha jana logo ko kafi pasand hota h, ye meri bhi pasandida jagah h,ye mere ghar
se keval 30k.m door h, yha thand ka samay jane ke liye sabse acha samay h, yha
ki thandi hawaye chu kr nikal jati h jo man bhawan lagti h..........
Logo ki manyataye.......
Amarkantak ka bahut si dharmik manytao se
sambandh raha h, kha jata h ki yeh jagah bhagwan shiv ki den h aur logo ka aisa
manna h ki narmada nadi shiv ji ki putri h aur jivandayani ke roop me yha se
nirantar behti rehti h, ye Amarkantak se hote huye bihar ki taraf jati h jha
inka vishal roop dekhne ko milta h,kha jata h ki narmada nahi ka udgam bhagwan
shiv ki jatao se hua tha isliye bhagwan shiv ko jta shankar bhi kehte h. Purano
ki sabhi nadiyon me nahane se paap door hota h kintu narmada nadi ke darshan
matra se sare paap door ho jate h, aaj bhi vha ke purane pandit aur pujari log
narmada nadi ka itihas btate aur unki pavitrata ka gudgaan krte h.
Doodh dhara.........
Amarkantak me 50 feet uncha Doodh Dhara ke nam se
prachalit ek prapat h jiska girta hua pani dhoodh ke saman prateet hota h sath
hi sath yeh kafi uchai se girte huye sundar aur manbhavan prateet hota h. Amarkantak
pahadiyo ke beech sthit h iskaran yeh kai guna khoobsurati apne andar samete
huye h, meri pasandeeda jagah bhi Doodh Dhara hi h jha ka shanti bhari jharne
ki kal kal awaj kano ko sukoon pradan krti h,yha bandaro ke jhundh ko har waqt
logo se shararat karte huye sakta h.
- Kapil dhara
- Maai ki bagiya
- Kabeer ka chabutra
- Jain mandir
Kundon me
fail rahi gandagi.........
..
..
Mujhe aaj bhi yad h jb mai choti thi to
Amarkantak gai hi aur vha ki sundarta dekh kar mai bhi aur ki tarah mantra
mugdh ho gai thi, Narmada nadi ke kinare bane saf suthare kund aur Narmada nahi
ka pavitra jal, behte sundar jharne bahut hi ache lag rahe the, Amarkantak ghar
se jyada door na hone ke karan mera vha aksar jana bna rehta h pr bachpan se ab
tk ke samay me Amarkantak badal chuka ya yu kahe ki gandagi se dheere dheere
maila hota ja raha h, pavitra nadi Narmada yha sbke jeevan ka ek matra jariya h
logo ke pani se jude hr kam ke liye, iskaran logo ke nahane ,kapde dhone ke
karan Narmada ka jal apvitra hota ja raha h, jiski suraksha ke liye sarkar ne
kai niyam bnaye h jiske karan Narmada nadi aur kundo me gandgi failne se
bachaya ja sakta h kintu yeh prayash keval sarkar hi nahi logo ka bhi hona
chahiye taki Narmada ki pavitrata ko bachaya ja sake.........
No comments:
Post a Comment